Wednesday 27 November 2013

Zindagi ka Dastur

Face book frnds 230+

Whats app connected 300+

Email contacts he hazar plus

Sab he fir bhi tanhayee me koi paas nazar nahi ata he..

Aalam ye hota he ke khud ka dard khud ko hi sunana padta he..

Nadan se is dil ko khud bahlana padta he..

Khud k ansoo khud hi saf kar, jhooti hasi se muskana padta he..

Naam yaad karu to kisi ka naam us waqt yaad nahi aata he..

Jiska naam samne ata he wo khud dard ki ek wajah hota he..

Sala muskaya hua chahra, naam uska aate hi ek baar or rota he..

Bas zindagi ka dastur tab pata chalta he

Kitni bhi bhari bheed me insan chahe jeele

Par zindagi ki rah me wo akela hi chalta he

RD


Friday 15 March 2013

Tere pass jab bhi baithta hu me




Tere pass jab bhi baithta hu me
Chahe wo sahi ho ya ho galat,
Har ek bat kahne ko jee karta he!
Armaan waise to he laakho is dil me
Par har ik Armaan ko pani sa bahne ko jee karta he!
Darr ho jis lamhe ka,
Us lamhe ko tera hath pakad age badhne ko jee karta he,
Bada patthar ban firta hu me,
Bas teri baho me simat kar katra katra rone ko jee karta he!
Marta hu har ek pal is duniya ke asmanjas me,
Bas ek or zindagi tere sath jeene ko jee karta he!
 

Thursday 1 December 2011

 Army Band squad
 Ncc Cadets standing, making Chief Guest feel proud to be the part of Event
 Ncc cadets waiting for their turn to do Section drill
NCC Cadets eager to see the celebretion.